Home | Urdu | Ilm e Batini
Ya’ni Rah-e-Sulook
[Straight & Righteous way of Life The polite & the mystical way of life]
To Read online click on the Title Page
To listen audio & download in brief aspect from the book:
Ilm-e-baatini ke silsile mein pheli kitaab Muqaddame ke taur par “Sirat al Mustaqeem [Straight & Righteous way of Life] Ya’ni Raah-e-Sulook [The polite & the mystical way of life]” nihaayat maqbool hui. Is kitaab mein chaar hisse [parts] hain. Pehle do hisson ko Iman ke jadwal [flowchart] ke zaria’e, mandarje zail Ausaaf (attributes) ke muta’llaq nihaayat mukhta sar magar moassar andaaz mein samjhaya gaya hai;
Tauba [repentance], Taqwa [abstinence], Tawakkal al Allah [trust in Allah] aur Ibtelah [trial], Sabar [patience], Tasleem [acceptance], Raza [Acquiescence], Tehzeeb-e-nafs [refinement of corporal self], Baith-o-Iradat [Promigiance and devotion].
Baaqi do hisson ko Iman-e-Haqeeqi ke jadwal [flowchart] ke zaria’e, mandarje zail ahem mousooa’aat ke muta’llaq nihaayat mukhtasar aam-fahem andaaz samjhaya gaya hai.
Tasowwer-e-Shaikh, Khatraat-wo-Daa’fa’-e-Khatraat (Notions and their prevention), Tawajjo (Will Power/Attention), Chilla kasha (40 days of Seclusion), Lataaef (Subtleties), Zikr (Invocation), Aqsaam-e-Zikr (Types of invocation), Ashgaal (Vocations), Ginaa (Religious Vocalization), Qurb-e-nawaafil-o- faraaez (Supererogatory & Obligatory Proximity), Fanaa-e-Afa’al-o-sifaat-o-zaat (Extinction of deeds, attributes and unity), Sair (Perambulation), Tamseel-e-muhabbat ( The Parable of love) aur Abdullah (Servant of Allah).
Yeh kitaab jumla 104 safaat mein 102 sawaalaat-o-jawaabaat par mabni hai. Is mein hasb-e-zuroorat angrezi alfaaz ka bhi iste’maal kiya gaya hai, taake qaaraeen ko samajhne mein asaani ho.